Q: Kiya haq mehar pura ada na karne se biwi shohar ke liye haraam hojati hai? I mean to say k biwi ke sath shohar humastri kar sakta ya nahi?
Meri shadi ke waqat meri biwi ke haq mehar 10 hazar rupee our 7 tola gold the howa. Lekin me ne haq mehar me sirf 10 hazar rupee our 3.5 tola gold diya. Ab kiya mera nikaah theek hai? Kiya me biwi ke sath jima (humastri) kar sakta ho ya pehle muje sara haq mehar pay karna hota. Humari rukhsati ho chuki hai.
A: Nikaah durust he.
Agar aap ki biwi apna poora haq-e-mahar milne se pehle humbistari karne se khush he, to aap ke liye un ke saath humbistari durust he. Leikin agar wo aap ko apna poora haq-e-mahar milne tak humbistari se rok de, to un ko rokne ka haq he.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: