Q: Mera sawal aap sy haq mehar ke baary me hy. Meri shadi hony wali hy or hamary yaha kuch wajoohaat ki bina par Haq mehar boht ziada rakha jata hy, jo kici bhi soorat me hum apni new wife ku us ke huqooq ada karny sy pehly itni bari amount nai dy sakty. Ab meri shadi meri cousin se horahi he, or hum dono ne aapas me mutually understanding sy ye agree kia hy k nikkah naamy me jo chahy haq mehar likha ho, lekin ham ne aapas me jo amount agree kia he actual haq mehar woi hoga. Nikaah naamy wala just aik security ke tor par he, to kia husband and wife bina kisi dabao or force ke aapas me is tarah haq mehar rakh sakty hen, jo ke bawaqt e haq-e-zojiat sy pehly ada kar dia jae.