Fitna ke waqt me sunnat tareeka ko apnane waale logo ka maqaam aur darja

Q:

1. Jaise Hassan aur Hussain (radhiyallahu anhuma) ko jannat me alaa maqaam hai, Muaz radhiyallahu anhu ko diya gaya hai, waise hi Nabi ki ummati me se kisi ko aisa koi khaas maqaam ya darja milega kiya? Jannat me Nabi ke parosan aur jannatul firdos ke alawa aur koi khaas maqaam milega? Jaise Nabi ke waqt imaan pe rehna asaan tha aur mazboot tha kiyun ke Nabi aur Sahaaba ki suhbat thi, fitna utna nahi tha, phir Nabi ki ummatio ko Qiyamat ke qareeb imaan pe rahna haat me angar pakarne ke barabar hai, toh is muskhil waqt me imaan pe rehna Allah pe tawakkal aur Nabi ke sunnat tareeka aur zindagi ko apnane waale logo ka kya maqaam aur darja hoga? (Except Nabi ke parosi aur jannatul firdos). 

2. Nabi ko jo dekh kar imaan laye unhe 3 bar mubarak, jo bina dekhe imaan laye unhe saath baar mubarak is ka kya matlab hai?

A:

1. Dharoor. Bohot so ko dunya me rehte huwe bashaarat dee gayi, khulafa raashideen, Hazrat Sa`d bin Abi Waqqaas, Hazrat Talha aur Hazrat Zubayr (radhiyallahu anhum) ko, isee tarah Hazrat Bilaal (radhiyallahu anhu) ko aur bohot se doosre sahaabah (radhiyallahu anhum) ko bhi. Ayse logo ka bara hee maqaam he. Hadeeth Shareef me bataya gaya ke pachas aadmi ka darjah thawaab hoga.

2. Imaan laana barkat ki cheez he. Agar nabi ka zamaanah paya aur nabi ko dekha to bohot hee bari nimat he lekin bin dekhe imaan le ana aur deen ke oopar qaaim rehna bohot hee ajeeb aur sa`adat ki cheez he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)