Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: Agar ek larki aur larka kisi ke saamne ek doosre ko mian biwi bol dete hain, halaan keh wo dono nikah mein nahi hain. Ek ya do logon ke saamne bolne se kiya wo mian biwi ho jate hain?
Ya phir agar larka gawaho ko court me paish kar ke larki se shadi hone ka case kar sakta hai?
A: Nahi honge. Lekin ye tareeqah nihaayat be-sharmi ka he. Is tarah mard aurat ke saath khalt malt karna aur is tarah be-hayaai ki baat karna ye bohot hee buri baat he sharam me doob marne ki baat he. Taubah karna laazim he.
Nahi.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: