Talaaq dene ke bad biwi ko paysa dene ki shart lagana

Q: Meri shaadi ko 5 saal ho gaei hein or ab ma ne apni biwi ko talaq de di hay... Lekin nikah register par kuch sharaait ke tor par likha huwa tha ke "Agar dulha talaq de ga to itni itni amount deni pare gi usse" Ab larki wale un peson ki demand kar rahi hein jo kawaaif main likhi huwi thi... Kia wo jaiz hein dena ya nahi? Or haq mehar ke bary main thori rehnumae farma dain.

A: Ye sharaait durust nahi. Ye maali jurmana he aur maali jurmana ghayr mashroo he. Aap bataaye ke mahr ke muta`alliq aap kya samajhna chaahta he. Agar uski aqal miqdaar matloob ho to woh das dirham he. Aur agar mahr faatimi to 500 dirham aur mahr mithl to jo aysi aurat keliye uske baap ke khaandaan me jo mahr raaij ho.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)