Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain?

Q:

1. Agar hamain hamari zindagi may aik kaam karny ki ashad zarurat pesh aaye usi waqt aur hamain khauf ho ke kahi yeh kaam ulta hi na ho jaye to kiya usi waqt hum Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain ke yeh kaam kar lo ya nahi.

2. Kisi kaam ko urgently karna ho aur us may nafa nuqsan ka pata na ho to kiya hum Quran wala istikhara kar sakte hain jis may hum Allah say madad mangte hain ke agar ye kaam karna theek he to (خ) ki tadad ziyada aye aur agar yeh kaam karna saheeh nahi he to (ش) ki tadad ziyada aye.

A:

1. Isharah ke bajaaye aap dua maangte rahe ke Allah Ta`ala saheeh rehbari farmaaye.

2. Ye mahadh aapka takhmeena he aur raai-zani he. Usko Khuda ki taraf se na samjhe. Ye Khuda ka fesla ki koi qat`ee aur yaqeeni cheez har giz nahi samajhna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)