Dua owr Zikr

Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain?

Q:

1. Agar hamain hamari zindagi may aik kaam karny ki ashad zarurat pesh aaye usi waqt aur hamain khauf ho ke kahi yeh kaam ulta hi na ho jaye to kiya usi waqt hum Allah say madad mang kar yeh keh sakte hain ke Allah koi ishara de dain ke yeh kaam kar lo ya nahi.

2. Kisi kaam ko urgently karna ho aur us may nafa nuqsan ka pata na ho to kiya hum Quran wala istikhara kar sakte hain jis may hum Allah say madad mangte hain ke agar ye kaam karna theek he to (خ) ki tadad ziyada aye aur agar yeh kaam karna saheeh nahi he to (ش) ki tadad ziyada aye.

Hamare dua kyu qabool nahi hoti?

Q: Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) kay dor me koi Sahaabi kisi bhi pareshani me hota tha to wo Allah kay batay huay ya Hazrat Muhammad (sallallahu alaihi wasallam) kay batay huay wazife pe kuch din amal karta tha to wo pura ho jata tha or wo Sahaabi us pareshani se nikal jate the.

Ab sawal ye hai kay aaj kal hum bohot gunehgaar insan hain. Hum me har qisam kay gunah kiye huay hain. Haram kahi na kahi khaya hua hota jab ke jis ne haram khaya ho us ki dua qabool nahi hoti. Hum sharte bi dosto se laga ke khaa pee leyte ye bi haraam me ajata... or bhi kuch aise kaam jis se insan pe pareshaniya aajati hain. Hum wo gunah karty hain... hum jab koi wazifa karty hain to humy us ka koi result nazar nahi ata...

Ab jesey kay me itny salo se apny rizqey halaal key liye kai wazify kaire, durood parh raha hun, magr abhi tak me bhi rozgar hun... Kia hamary wazify qabool nahi hoty hamary gunehgar hony ki waja se?