Bare bhai apne chote bhai ka sara kharch karna

Q: Mere shohar apne behn bhai me sab se bare he. Maa baap ka inteqal ho chuka. Jab sab alag huwi to hamare hisse me chota bhai aya jo ke student tha. Jab tak wo student tha hum ne uski khurak har cheez ka khayal rakha. Ab masla ye he ke pichle 2 saal se uski perhai khatam he aur wo job kar raha he phir us ke bawujood wo apni khurak kapre dhona istri waghera pe koi kharcha nahi karta sab bhai bhabhi se karwata he aur uski koshish yahi he ke uski khurak ka sara kharch bhai hi kare.

Mujhe shari tor pe bataye ke ab uska bare bhai pe free me rehne khane ka haq he ya nahi jab ke wo pichle 2 saal se job kar raha he phir ghar me 1 rupay tak kharch nahi karta even apni khud ki khurak nashte waghera ke liye bhi nahi kharch kerta. 

A: Agar bare bhai khushi ke saath kar raha he to aap i`tiraadh na kare. Ye uski mardhi he uski khushi he. Baaqi uski koshish karo ke jald uski shaadi karaaye taake woh fitnah se mahfooz rahe aur zimme daari ka ihsaas uske andar payda ho jaaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)