Teen talaaq eik majlis me

Q: Mere husband ne mujhe Dubai me ek hi waqt me 3 talaq di hain or phir unho ne wahan se fatwa nikala jis me aya ke ek majlis me 3 talaq 1 hoti hain. Me Pakistan ke scholars ko follow karti hun tu mujhe bataye ke kiya 3 talaq waqi hogai hain?

Kiya me un ke paas wapas jakar reh sakti hun ya nahi? 

A: Agar us ne aap ko teen talaaq de di, to teen talaaq waaqi hogayee aur aap ka nikaah toot gaya. Ab aap us ke liye haraam hogayee. Sahaabah Kiraam, Tabieen aur chaar mazaahib ke aimmah; Imaam Abu Hanifah, Imaam Maalik, Imaam Shaafiee aur Imaam Ahmad bin Hambal, sab ke nazdeek teen talaaq teen hee he, eik nahi he.

Teen talaaq kaise eik ho sakti he? Eik to eik he aur teen teen he. Dunya ke andar agar kissi ke paas teen rupee he, to wo eik rupee nahi he. To yaha kis tarah teen eik hosakti he?

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)