Published 3 years ago
Last updated 3 years ago
Q: Mene do talaq ke baad apni biwi ko likh kar diya ke ab mein talaq ka haq apni biwi ko deta hoon aur ye ke ab mein talaq dene kay haq se dastbardar hota hoon. Is tahreer ke 3 months baad gusey se mujh se lafaz nikla mein tumhe talaq deta hoon. Ab meray ye talaq kehnay ki kiya haisiyat hai?
A: Shariat ne shohar ko talaaq ka haq diya. Agar shohar apni biwi ko talaaq ka haq de de tab bhi shohar talaaq dene ka haqdaar rahega. Lihaaza jab aap ne teesri talaaq de diya to teesri talaaq waaqi hogayee aur aap ki biwi aap ke nikaah se nikal gayee. Ab wo aap par haraam he. A
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: