Insaani balon ki wig pehen kar namaaz parhna

Q: Agar koi insani balon ki wig lagata ho (jo ke mujhe pata ha ke haraam ha)... wo wuzu karte waqt wig ko utaar kar masah karta ho aur phir pehen kar namaz parhta ho to kya uski namaz hojae gi? 

A: Jee ha durost hogi. Lekin is tarah ka wig phena jaaiz nahi he. Agar koi is kisim ki wig ke saath namaaz pharhe, to aadmi namaaz ki zimedaari se bari hoga lekin us ko us namaaz ka koi sawaab nahi milega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)