Shirkat me har shareek ka hissah ka muta`ayyan kar liya jaaye

Q: Mera karobar gold ka hai aur mein haram halal ka bohot khayal rakh kar kam kar raha hun. 2 months pehle mere dost ne mujhe khuch raqam di ur mujh se gold mangwaya. Aur wo us ne mujhe dia k is se karobar karo lain dain karo aur jo munafa aye uska 50% mujhe de do. Meine us se gold lia aur karobar kiye beghair us ko andazan khuch munafa usko 1 bar bheja hai. Dusre month mujhe ehaas hua k kahin ye sood na ho. Mujh pr haram bilkul nae chalta Allhumdullilah. Dusre month usko meine kaha k meine karobar is month nae kiya is liye pese nae aye. Kyun k uski khuch raqam mujh se istaimal ho gyi thi. Ab aap mujhe ye batain k ye najaiz hai andazan karobar kiye bghair munafa dena ya is ka mein ab kya karun?

A: Shirkat ko shuroo karne se pehle ye muta`ayyan kar liya jaaye ke har shareek ka hissah kya hoga. Aur uske muwaafiq usko uska hissah diya jaaye. Aur agar shirkat kee lekin uska hissah ko muta`ayyan nahi kya to uske raqam ke ba qadar kuch diya jaayega, masalan usne 100 diya aur maal-e-shirkat me 1000 he to jo nafa aayega nafa ka daswa hissah usko milna chaahiye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)