Shirkat me har shareek ka hissah ka muta`ayyan kar liya jaaye
Q: Mera karobar gold ka hai aur mein haram halal ka bohot khayal rakh kar kam kar raha hun. 2 months pehle mere dost ne mujhe khuch raqam di ur mujh se gold mangwaya. Aur wo us ne mujhe dia k is se karobar karo lain dain karo aur jo munafa aye uska 50% mujhe de do. Meine us se gold lia aur karobar kiye beghair us ko andazan khuch munafa usko 1 bar bheja hai. Dusre month mujhe ehaas hua k kahin ye sood na ho. Mujh pr haram bilkul nae chalta Allhumdullilah. Dusre month usko meine kaha k meine karobar is month nae kiya is liye pese nae aye. Kyun k uski khuch raqam mujh se istaimal ho gyi thi. Ab aap mujhe ye batain k ye najaiz hai andazan karobar kiye bghair munafa dena ya is ka mein ab kya karun?