Published 10 months ago
Last updated 10 months ago
Q: Divorce hone se pehle kya ek aurat dusri nikah ke liye dua maang sakte hai?
A: Jab wo apne khaawind ke nikaah me he, to doosre nikaah ke liye dua karna saheeh nahi he. Us ko chaahiye ke Allah Ta'ala se dua kare ke Allah Ta'ala us ke pareshaani door kare aur us ka taalluq aur zindagi apne khaawind ke saath khush gawaar banaaye. Issi tarah us ko chaahiye ke huqooq e zawjiyat poora karne ki fikar kare aur agar khaawind ki taraf se koi ziyaadati ho, to kissi tarah se un ki islaah ki soorat talaash kare (masalan apne khaawind ke saath izzat aur ihtiraam se baat kare ya apne khandaan ke kissi bare se kahe ke wo un se baat kare).
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: