Talaaq ke bad bachon kis ke paas rahe ga?

Q: Chand masaail aap se puchna he, lekin is se pehle pura manzar pesh karta hun.

Shohar ne biwi ko teen talaaq diya. Un ki shaadi barah saal rahi. Abhi chaar bache he.

Ek bacha ki umar 10 saal
Dusra 8 saal
Tisra 6 saal
Choti (bheti) 3 saal.

Hamara sawal yeh he ke:

1. Bachon rakhne ka kis ka haq he?

2. Agar sab bache maa ke paas rehna hi chahte hei, to ham kya kar sakte he?

3. Agar sab ya ek do bache, maa ke paas rahe, to bachon ka kharchah kis ki zimme dari he?

4. Ghar ka samaan jeyse ke kitchen ki chizen, kis ke liye he?

5. Baaz chisen kharidne keliye biwi ne apne peyse di. Woh kis ki he?

A:

1. 10 saal ka bachcha aur 8 saal ka bachcha to baap unko rakhne ka haq he aur 6 saal ka bachcha aur choti bachchi to maa unko rakhne ka haq he.

2. Agar baap ki taraf se ijaazat he to theek he.

3. Baap ki zimme daari he.

4. Jisne khareeda, saamaan usee ka hoga.

5. Jayse ke oopar ka jawaab.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)