"Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta" kufr he

Q: Agar shohar kabhi bole ki Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta... khaali apni fesle ki mazbooti ke iraade se... Kya yeh bolne se insaan kaafir hojata hai?

A: Yeh jumlah bohot khatarnaak he, aur is se aadmi kaafir bun sakta he. Allah Ta'ala Qaadir-e-Mutlaq he, aur koi cheez Allah Ta'ala ki qudrat se baahar nahi he. Lihaaza ye kehna ke "Mera faisla ab Allah bhi nahi badal sakta" kufr he. Us ko chaahiye ke tajdeed-e-imaan kare aur do baara kalimah parhe. Issi tarah agar wo shaadi shuda he, to wo apne nikaah ki tajdeed kare.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)