Talaaq ke bad rujoo ka tariqah

Q: Agar husband talaq kay baad ruju karay tu iska kya tariiqa hain kya bolna zaroori hain yah azdowaji taluqat karnay say bi ruju ho sakta hain?

A: Agar shohar ne sirf eik ya do rajee talaaq dedi, to wo rujoo kar sakta he. Rujoo karne ka tariqa ye he ke shohar apne biwi ko kahe ke me ne aap ko apne nikaah me waapis le leya ya shohar biwi ko shahwat ke saath chuwe ye bosokinaar kare ya humbistari kare. Is tarah karne se rujoo hojayega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)