Published 1 month ago
Last updated 1 month ago
Q: Husband and wife ke darmiyan takrar ke doran, bivi keh de ke "Allah se ghalti ho gai ha aapko beti de di ha, aap ko deni hi nahi chahiye thi". Ye kehny sy nikah par koi asar parta ha?
Albata bivi ne iss julmy par tauba kar li ha or ainda aise na kahne ka irada bhi kar liya ha.
A: Is tarah bolna ke "Allah Ta'ala se ghalati ho gayi he aap ko beti dedi he, aap ko beti nahi deni chaahiye thi" haraam he aur kalima kufriya he. Ye Allah Ta'ala ke oopar i'tiraaz he aur un ke faisle ka inkaar he. Is tarah bolne se aadmi Islam se khaarij hota he. Aurat ko chaahiye ke taubah kare aur imaan aur nikaah ki tajdeed kare.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: