Ghussey ki haalat me talaaq ka i'itibar he

Q: Maine meri biwi ko chat per aur call pe ek baar talaq word istemal kiya hai gusse me kya aise boldene se hamara rishta khatam hojayega? Mujhe usey talaq dedene ki niyyat ni thi per gusse me kuch past ki chizo se maine wo kehdiya. Ab mujhe kya krna chahiye rishta halal rakhne keliye.

A: Ghussey ki haalat me bhi talaaq ka i'itibar he. Lihaaza jab aap ne chat par eik talaaq likh di aur call par doosri talaaq dedi to do talaaq ho gayi aur aap ki biwi ki iddat shuroo hogayi. Agar in do talaaq dene se pehle tum ne apni biwi ko koi talaaq nahi di to sirf do talaaq hogayi aur eik talaaq baaqi he. 

Jab tak biwi iddat me ho aap us ko apni nikaah me waapas le sakte. Waapas lene ka tareeqah yeh he ke aap us se kahe "Maine aap ko apne nikaah me waapas leliya" ya aap us ke saath bos wa kinaar kare ya humbistari kare. In afaal karne se rujoo hojayegi aur woh aap ke nikaah me baaqi rahegi. 

Lekin agar aap rujoo na kare aur biwi ki iddat khatam ho jaye to phir rujoo karna aur waapas lena mumkin nahi hoga. Us ke bad agar tum dono dobara milna chaahe to eik naya nikaah parhana hoga naye mahar ke saath.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)