Teen talaaq

Q: Ma na apne biwi ko 3 talaq de. First talaq 30 November-2024 second talaq 10 January-2025 & third talaq ma na tab de jab 3 months k time complete ho gya aur wo mera nikkah sa automatic chala gayee. Tu kya 3rd talaq huwe? Kyo k ma na 3rd talaq 3 month k time khatam hna k bad de aur us ko 3 periods bhe khatam ho gya thy. Kya hum dobra nikkah kr skty han? 

A: Agar doosri talaaq ke bad aap apni biwi ke saat rehne lage, to rujoo hogaya. Lihaaza jab aap ne teesri talaaq dedi, to teesri talaaq bhi hogayee aur wo aap ke nikaah se bilkul nikal gayee. Ab tum dono eik doosre ke liye haraam hogaye.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)