Shohar ke kehna "main tum pe haraam hu"

Q: Mere husband ne mujhse kaha ki main tum pe haraam hu main tumpe haraam hu main tumpe haraam hu to kia ye talaaq consider hongi ya nahi?

A: Agar aap ke yaha urf ye he ke lafz haraam se log talaaq samajte he, to bila niyyat e zowj eik baain talaaq waaqi hogayee. 

Aur agar aap ke yaha urf nahi he, to shohar ki niyyat par mowqoof he. Agar shohar ne talaaq ki niyyat se kaha, to tum par eik baain talaaq waaqi hogayee aur aap ka nikaah toot gaya. Ab agar tum dono dobaara milna chahte, to eik naya nikaah parhaana hoga naya mahr ke saat. 

Aur agar shohar ne talaaq ki niyyat se nahi kaha, to koi talaaq waaqi nahi huwi aur nikaah ab tak baaqi he. Shohar se maloom kiya jaye, ke uski niyyat kya ti.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

فتاوى محموديه 19/36

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)