Shia larki se shaadi karna

Q: Ayk esi lerki jis ke bap dada sab katar shia hoon aur mehaz rishty kaliay aur society ma rehny kaliay unhon ny khud ko sunni zahir kia hua ho, nikah ke waqt bhi zahir na kia ho k hum shia maslak sy hein, tu kya us lerki ke saat nikah theek hy? Jab ke istakhray ma bhi preshan kun khawab aaty rhy hoon? Larki ke aqaed b pehly baap dada waly thay, ab confirm nai hy. Sab log gawah hein ke lerki aur us k gher waly sb majalis ma jaty aur apny gher ma majalis kerwaty hein. Lerki ke relatives bhi sahaba karam ko bura bhala kehty hein aur moharram ke dino ma chup k tmam majalis ma shirkat krty hein.


bismillah.jpg

A: Shia log umooman Quraan Shareef ke andar tahreef karte he, aur ye imaan rakhte he ke Quraan Shareef jis tarah munazzal minas sama tha us tarah mahfooz nahi. Neez, Sahaabah-e-kiraam (radhiyallahu anhum) ki tanqeed aur takfeer karte he. Aur Quraan Shareef ke jo ek harf ko bhi ghalat kehta he uski kufr me koi qism ka shak nahi. Ayse lowgo se nikaah karna jaaiz nahi he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)