Nikaah se pehle na jaaiz taalluqaat

Q: Meri ayk friend he. Us ki shaadi se pahle kisi hindu larrkey se affair tha. Wo dono fone pe zina ki baatein kerte thei. Ayk do dafa mulaaqat bhi huee, but zina nahi hua, halke se jismani taaluqat thei. Us ke parents ne us ki shaadi fix kerdi. Wo shaadi nahi kerna chahti thi but uss ko haalaat se majboor ho ke shaadi kerna parri. Shaadi se pahle us ne khuda se sachi touba ki and paka iraadaa kia ke aainda wo uss se baat nahi karegi. But wo us ko bhoolne me naakaam rahi and shaadi ke baad phir us se contct continue kia and phone talk pe zina ki baatein qaim raha. But haqeeqat me zina nahi hua. Ab wo us se baat nahi kerti and buhut dipression me hai. Zahni patient ho gaee hai. uss ko plz sahi guide karein taakey wo relax ho jaey. Us ke zahin me kuch sawalaat hain jo uss ko pareshaan ker rahe hain, Please ho sake tou un ke bhi positive jawab den, taakey wo deen ki taraf raaghib ho jaey and relax rahe.

  1. Kia wo khuda ki ibadat kerne k laaiq hai?
  2. ia wo khuda se maafi mangne k laiq hai?
  3. Kia iss gunah ki maafi hai?
  4. Kia ye haqeeqat me zina hai?
  5. Ka iss k iss gunah ka iss ki beti pe asar tou nahi hoga?
  6. Saima ko kis tarah maafi maangni chaheiye?
  7. Kia maafi maangne k baad uss k gunahon ki Roz-e-mahshar parda poshi hogi?
  8. Kia wo apne husband k sath rah sakti hai?
  9. Kia wo baby concieve kerne ke laiq hai?

Ho sake to jaldi jawab den because she is so dipressed.

bismillah.jpg

A: Saheeh saheeh taubah karle aur Allah Ta`ala se ahd karle ke aaindah ayse ta`alluqaat ko khatam karenge. Allah dharoor maaf farmayenge aur ham bhe du`aa karte he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)