Published 10 years ago
Last updated 10 years ago
Q: Mujhe mehrbaani kar ke ye bataye ke agar koi rishtedaar baar baar binawajah hum par ghalat ilzaam lagaaye aur aaye din sab ke saamne galiyan de zalil kare to us rishtedar se milna chahiye ya use hamesha ke liye chor dena chahiye?
A: Shariat ne hume hukam diya ke hum hamare rishtidaaro ke huqooq ada kare owr hum sila rahimi kare agar che wo hamaare saat bad sulooki kare. Agar hum hamesha acha bartaaw rakhenge un ke saat, Allah Ta'ala un ke dilo ku naram karenge owr mahabbat paida karenge. Agar un se milna mushkil ho, to ayse waqt me unse mile jab log ne ho.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by:
Checked & Approved: