Talaaq ka lafz bowlna

Q: Mera sawal yeh hay ke agar shohar gussay ma aka apnay kissi aziz ko yeh kahta hay kah mare bivi ko keh do kah mainay usay takal de (yeh lafz sirf aik bar kehta hay) na kah direct apni bivi ko or phir do mah kah bad woh apni bivi say rojoo bhe karta hay to is ka baray ma Islam kia kahta hay?. Please tafseel say jwab degiay ga.

A: Talaak ka lafz bowlne se talaaq hojati he kha biwi ke saamne bowle ya kisi owr ke saamne. Agar showhar biwi ku waapas lele apne nikaah me iddat ke dowraan me, to wo us ki biwi rahegi. Agar iddat khatam hojae, to shwohar ruju nahi karsata. Lekin agar mia biwi dowbara milna chahte to ayak naya nikaah parhana zuroori hoga naya mahar ke saat.

Ye hukam us surat me he jaha showhar ne is talaaq se pehle do talaaq nahi di. Agar is se pehle dow talaaq de di, to ye teesri talaag hogi owr teesri talaaq se awrat mugallaza hojaegi.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)