Q: Mera sawal ye hai key agar kise baalti me napaak kapra pani ke sath rakhne ke waja se napaak ho jati hai, toh os baalti se dhone ke lye napak kapra nikaal ne ke bad, os baalti ko pak karne se phele, os baalti me pani lekar agar oske undar mug gusa dene toh wo mug bhi to napak ho jayega na? To os mug ko paak karne ke liye agar mug ke undar pani bhar kar dal diya to bhi oski handle to napak rehenge na, to uske handle ko paak karne ke liye os napaak baalti me dal kar, baalti me pani bhar kar, mug ko pani me duba kar rakh kar baalti ka thora pani beh jane dene se kya baalti ke sath sath mug bhi paak ho jayega? Jitna jaldi ho sake jawaab dijaaega.
A: Agar napaaki ka athar balti me ho aur woh athar aur nishanaat mug ko lag gaya ho to woh mug bhi napaak hoga aur agar kuch athar ne ho to napaak ne hoga.
Khaw ma khaw apne aapko pareshaan ne karo. Ek doosre bartan ko le kar ke mug ke oopar paani pherdo aur ho jayega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: