Talaaq shuda showhar ke saat talluq

Q:

1) Kiya ek aurat apne talaq shuda soher ke saat dosti rakh sakthi hai ya baat chit kar sakthey hai.

2) Kiya talaq k baat dono ek dusrey k liye mehram hai ya na mehram.

3) Ek aurat apne soher k bagair ijazat koi gair mehram se baat kar sakthi hai.

4) Ek talaq shuda aurat apne talaq shuda soher sey akela me mulaquat kar sakthi hai. Ya akelay ya apni behan k sath ja kar mulaqat kar sakthi hai. Yeh jayez hai ya haram hai.

5) Ager vo admi se koi aulad hai or vo apni aulad ko kuch madad karna chaheta hai to kiya aurat jab k vo kisi or k nikah mai hai apne pehlay marad se akelay mai mulaqat kar sakthi hai. Yah aurat ka farz hai ki vo apne mojuda sohar ko or uske bhai ya baap ko vakil bana ke beach mey rakh kar maumla kare.

6) Kiya yeh koi mard ko gawara ho ga ke uski biwi apne pehlay mard ko apney ghar ya apni behan k ghar bula kar sirf aurtey baat kare.

7) Jab ke talaq k baad vo aap ka mehram nahi hai kiya vo aurat uske saath mauj masti ya sair sapate k liye ja sakthi hai. Is rishte ko islam mey kiya halal keha gaiya ya haram.

8) Ek aurat jo k apney teesri husband ke saat zindagi guzar rahi hai. Kiya vo apney pehlay sohar se financial madad talab kar sakthi hai ya pehla sohar usko dena chaiye to kiya yeh aurat ley sakthi hai jub k uske mujada sohar ko ateraz hai. Or pehlay sohar se ko Aulad nahi hai.

9) Kiya aurat apney teesri husband k hote hue apney passport par pehlay sohar k naam se renewal kar sakthi ya nahi. Renewal ke form par signature karna padta hai accept karna pada hai ke aap is admi ki biwi hai. Yeh karne se mojada sohar par kiya asar padega. Is ki sharai hasiyat bataiye. Banda aap ke jawab ka muntazir hai.

A:

1. Ayk dowsre ka na mahram he. Dowsti rakhna owr baat cheet karna jaaiz nahi he.

2. Na mahram.

3. Awrat ke lia na mahram mard se baat karna jaaiz nahi he.

4. Akele mulaqaat karna jaaiz nahi he.

5. Khandaan ke dowsre lowg (jaise baap, bhai, waghairah) ke zarye se maamla kare. Barahe raast ne mile owr baat ne kare.

6. Upar ki tarah.

7. Upar ki tarah.

8. Wo us se ne le. Wo na mahram hogaya.

9. Ayse ne kare. Mowjooda showhar ka naam likhe.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)