Talaaq ke alfaaz ku dohraana

Q: Ek raat me kafi der kat Talaaq ke bare men Fatwe pad raha tha Aur Audio bhi suna tha internet pe. Aur jab soya to woh word talaq word zuban pe tha yani suna hua repeat kar raha tha aur karwat liya samne biwi leti the dhiyan uspe chala gaya jab ke me ye word biwi ko nahi keh raha tha nahi usse mukhtib hokar kaha tha aur nahi use talaq de rhaha tha bas talaq word istemal karte hue dhiyan bivi pe chala gaya. (Aur ye words man hi man men bol raha tha mere honth hil rahe the lekin awaaj nahi nikal rahi thia aur agar kuchh bhunbhunahat nikal bhi rahi ho me yaqin se kehta hun ke karib betha hua shakhs nahi sun sakta) aise me mere nikah pe to kuchh ashar nahi hua na sir.

A: Agar mukhaatab aapki biwi nahi thi to talaaq waqi nahi huwa.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)