Published 9 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Agar kisi ne napaak kapra biga kar rakhne wali baalti ke undar ka paani nikaal kar phir osme paani bhar kar gusal kar liya. Dosre din farz gusal karne ke waqt oska jism me jo napaak paani laga tha wo shookh gaye, toh is sorate haal me oske jism ke upar sirf paak paani daal dene se farz gusal hojayega ya sare jism ko mal mal kar dhona parega? Kyun ke jism ke kuch hisse ko toh mala nahi jata hai jaise ankh ke baal our ankh ke undar ka hissa, naak ke undar ka hissa, sar ke baal, kan ke undar ka hissa.
A: Paak paani ko bahaane se jism paak ho jayega ba-shart ye ke napaaki ka koi athar jism ke oopar zaahir ne ho.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: