Namaaz beth kar parhna

Q: Kya hum namaaz bheth kar par sakte he ya nahi?

A: Tamaam fardh Salaah, witr Salaah owr fajar ki do rak'at sunnat-e-muakkada me agar aadmi khare hokar parh sakta he, to beth kar parhna jaaiz nahi hoga. Agar khare hone par qudrat nahi, to beth kar parhna jaaiz hoga. Fajar ki do rak'at sunnat-e-muakkada ke ilawa dowsre sunnato owr nawaafil me qudrat hone ke bawujood beth kar parhna jaaiz he. Lekin beth ne ki soorat me aadha sawaab milega.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Zakaria Makada

Checked & Approved:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)