Faarigh ka lafz talaaq ke lia istimaal hota he

Q: Mere husband hamesha mujhe baat baat par kehte rehte hai ke tum meri taraf se farigh ho yaha se chali jo abhi to hafte pehle ki baat hai mere husband ne kaha meri taraf se tum farigh ho mai tumhe talaaq deta hoo, do din baad maine poocha ke ap ne aisa kyu kah mai yahi soch rahi ti ke unhe is baat par pashtava hoga par mere husband ne kaha us ne jo kaha teek kaha or wo likh kar bi de dega aur phir kaha meri taraf se tum farigh ho alag kamre mai soya karo, us din se hamari koi baat cheet nahi hu mujhe kuch samaj mai nahi araha. Please muje bataye kya mera nikaah toot chuka hai.

A: Farigh ka lafz bohot se jagoh me talaaq ke liye istimaal hota he. Lihaza us se juda hogayee. Us se apne aapko juda karna dharoori he jis tarah se paraaye aadmi se judaayegi hoti he.

And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.

 

Answered by:

Mufti Ebrahim Salejee (Isipingo Beach)