barelwi

Marrying a Barelwi

Q: A marriage proposal came for my daughter. The boy and his family involve in barelvi practices which we consider baseless, as my family is firm deobandi. In the situation, should I consider this proposal or not? If I refuse it would I be sinful because there is no big issue in the proposal apart from that. Please guide me properly so that it would help further.

Ahle Hadith ko musjid se rokna

Q: Kya musjid me kisi ahle hadith firqa ke logon ko namaaz parhne ke liye mana kiya ja sakta he? Aur ahle hadith hazraat ko masjid me sakhti se nahi aane ke liye bola ja sakta he? Jabke masjid ahle barelwi firqa ka he. Mene suna he ke masjid Allah ka ghar he. Jabke yaha musjid nayi tameer ki gayee he. Tameeri kaam me sabhi firqe ke logon ki madad se musjid bana he. Jab masjid tayyaar ho gaya to musjid ki zameen ki registery paper me dhokhe se likhwaya gaya he ke is musjid ke nigra sirf barelwi firka ke manane waale honge. Magar sachchayee ye he ke musjid banne se pehle kuch chuninda lowg musjid ki zameen registry karwaane gaye we log awam ko dhoke me rakhkar barelwi firqa waali baat paper me likhwa diye jiske baare me awaam ko do teen saal tak maloom nahi tha ke is tarah ki baat registry paper me likha huwa he. Iska khulaasa tab huwa jab kuch ahle hadith hazaraat namaaz me zor zor se aameen bolte the jiski tanqeed barelwi aqaaid ke lowg karne lage wahi lowg tanqeed kar rahe the jo registry ke paper me likha huwa ko jaante the. Kaafi hangaama huwa to gaaw me baithak huwa jisme ye saamne aaya ke ye to sirf barelwi hazaraat ke nigraani ya unhi ke maanne wale jo karenge ya kahenge wahi hoga. Is jagah par barelwi hazraat ko chowr kar baki sabhi firqe waale bebas ho gaye. Aur majbooran sabhi logo ko masjid chorna para. Jabke tameeri kaam mein sab sath sath the. Gaaw me aksariyyat barelwiyo ka he. Ab mera sawaal he:

1. Kya kisi ko masjid se nikaala ja sakta he? Jabke dhoke me rakhkar paper banwaya gaya ho?

2. Awaam ko dhoka dene ka kya azaab he?

3. Kya dhoke me shaamil hazraat ke peeche namaaz hogi?

4. Ab ahle hadith wa doosre firke ke logo (barelwi ko chor kar) keya karna chahiye. 

False allegations and accusations levelled against the Ulama of Deoband

Q: Barelwis say that deobandi ulama are kafir due to the statements mentioned below in their books. Please explain. I am very worried because I follow the Deobandi ulama.

1- Rasheed ahmed gangohi rehmatullah alleh neh apni kitab fataawa rashidia Mein likha hai.. "Allah tallah jhoot bol sakta hai" (nauz billah) fatawa Rashidiya part 1 pg 20

2- Ashraf ali thanvi rehmatullah neh apni kitab hafizul eiman mein likhahai Keh nabi sallah hoo alleh wasalam ka ilm aisa hai jaisey bachoon pagloo aur Janwaroo ko bhi hota hai (hifzul eiman page 8 ) nauz billah

3- Qasim nanthovi rehmatullah alleh neh apni kitab tehzeer ulnaas mein likha Hai agar koi nabi aajaey tau khatum nabuwat par koi faraq nahin parey ga.. Tehzeer naas pg 24 nauzbillah

4- Khalil ahmed ambbithwi neh apni kitab barheen qatiya mein likhta hai nabi Kareeh sallah hoo alleh wasallam sah zada ilm shitan ko hai ... Bahreen Qaatiya pg nbr 51-52 nauz billah