Wujoob-e-zakaat

Zakaat, tamleek aur nisaab

Q:

1. Kia zakat sadqa jariya ma laga saktay hn?

2. Agar zakat kisi k zariye di jaye to us ma malik bnana ki shart kesy poori ki jaye?

3. Jab zakat dibay ma dali jaye ya kisi ko di jaye to us k sath aik page rakh den jis pa ye likh ho k ye pasay is kam ma use ki jiye ga to ye sahi ho ga?

4. Meray pas aik fanci suit 6000 ka un-stiched jise paray huay aik saal ho gaya h jo bhai ki shadi k liye lia tha kia is pa zakat h?

5. Or jahez k liye kuch zaroorat k bartan hn un ko bhi saal ho chuka h kia un pa zakat h? 

Suit par zakaat

Q: Manay ap se ye do sawal pochaya tha jin ka jawab (nahi ) tha. (Meray pas aik fanci suit 6000 ka un -stiched jise paray huay aik saal ho gaya he jo bhai ki shadi k liye lia tha kia is pa zakat h? Or jahez k liye kuch zaroorat k bartan hn un ko bhi saal ho chuka h kia un pa zakat h?) laki agar ye sab aik tolay se zayed sonay k sath ho or saal mukaml ho chuka ho to bhi ki zakat wajib nahi?

Zakaat aur qarz

Q:

1. Jis par zakat wajib ho or us pa qarz bhi ho to kia us par zakat wajib nahi? Kia wo pahlay qarz ada karay ga or phir pasay ho to zakat ada karay ga?

2. Jis ka pas raqam ho or wo qarz k tor pa di ho kisi ko to kia wo raqam bhi nisab ma sahmil hogi us ki bhi zakat deni ho gi?

Eidi aur pocket money par zakaat?

Q: Manay parha h k zakat wajib honi aik aik shart nisaab ka maal e naami hona h jo maal ka barhna h mera maal to istarah barha h k muja eidi or poket mony milti h or jo koi mahaman da k jaye us se pasay jama hotay hn to kia is tarhan barhany waly maal pa zakat wajib ho ga ma khud to kaamti nahi hun na hi tijarat karti hun?

Zakaat ka hisaab karna

Q:

1. Meray pas aik tola sona h or 15000 rupay jo zaroorat k ilawa hn jin ko aik saal ho gaya h kia muj pa zakat wajib h or kitni deni ho gi?

2. Passay is k ilawa bhi hn lakin wo ahista ahista jama huay hn muja yad nahi k un ko saal hua j ya nahi to in ki bhi zakat ada karni ho gi?

3. Or kia aesay banday ko zakat da sakten hn jo kamata ho ?

Aulaad ke paise se zakaat?

Q: Agar baligh aulaad ko uss ky parents aur rishtadaar result par inam ky toor par rupees dain aur phir wo pessy aulaad se lay lay aur aulaad ye khy k ye mera ap k pass udhaar rha. aur ye pessy aulaad ky agar parents ky pass wo pessy udhaar mn saal se ziyada arsa rhy aur hai b itnay thy k chandi ky aitibaar se dekha jai to ye 52.5 tola chandi ki qimat se ziyada ky hi thy to kia uss pr zakat farz ho ghi? Khud to wo parents ky kharchay pa plta hai.

Guzishta saalo ka zakaat ada karna

Q:

1. Mera sawaal he, hum 10 tollay sonay (Gold) kay malik he, or hum ne 1992 se le kar 2017 aj tak zakaat nai di. 1992 se le kar ab tak humari kitni zakkat banti he? 1992 me sona jhelum pakistan se lea tha us ke baad tab se ab tak sona France me humre pass he.

2. Aur hum france me rahty he. Kia zakaaat euro currancy me hogi ya pakistani rupay me?