Biwi shohar ko zakaat dena
Q: Ager shoher ghareeb ho aur biwi ko jahaiz mai zaiwer mila ho k us pr zakat farz ho tu biwi tutions prha kr shoher ko zakaat dai skti hai?
Q: Ager shoher ghareeb ho aur biwi ko jahaiz mai zaiwer mila ho k us pr zakat farz ho tu biwi tutions prha kr shoher ko zakaat dai skti hai?
Q: Hum log ek ambulanse kharidna chahte he trust k name se. Is me hum mariz k pas se diesel or driver or nominal maintanance ka kharch lege jo regular ambulanse ke kiraye se 40% jitna kam hoga. Khidmat k maqsad se lena chahte he. To ambulanse kharidne k liye kon sa paisa chahiye, Zakat, lillah, interest, Sadka or koi non Muslim donor se imdad le sakte he ya nahi?
Q:
1. Meray pas aik tola sona ka set h ha or sath ma raqm 40000 lakin agar wo set ami ko da dun k wo bad ma shadi k zavar k sath utna or bna da gi jitna set dun gi to kia phir muj pa us set ki zakat ho gi kiu k meray pas pasay hn or bad ma muja us ki jaga or set shadi k set k sath bna k bhi dena h?
2. Agar ma zakat ki niyet se pasy kisi mustahiq ko pohchanay k liye kisi ko dun k ye pasay ap usay yani mustahiq ko da den lakin ma dono ko na btaon k ye zakat h to kia ada ho jaye gi?
3. Kia is tarha malik bnanay ki shart poori ho jaye gi ?
Q: Agar me zakat k paisay zakat ki neyat se apnay bhai or maa ko da dun ko ye paisay un logo ko de den jin ko ma zakat dena chahti hun ye na kahun k ye zakat h or na ye kahan k jin ko dena ha unhe ye bhi keh den k ap in paso k malik hn to kia zakat ada jo jaye gi? Agar nahi to ma apnay bhai or maa k zariye se un tak kia keh k zakat bheju k zak at ada ho jaye ma apnay bhai or maa ko nahi btana chahti k ye zakat h ?
Q: Main ne do maah pehlay aik idaray main addmission lia tha jo zakat k paison se chalta hai. Mujhay zakat nahi lagti to kia main ye course kr skta hun ya nahi. Idaray walay Rs 500/- per month b detay hain. Us main seatain abi b khali hai yani students ki tadaad km hai. Please reply
Q: Ak sawal hai ek shaks jo dawate islami se juda hai uske do bachchiyan bhi hain aur koi karobar wagarah bhi nahi hai. deen ki khidmaat khoob anjam dete hai unke paas zayada paisa bhi nahi ki koi bussiness kar len. kuch tution wagaira aur kisi dini bhai se madad ke zariye se aamdani ho jati hai. unke paas apna makan bhi nahi hai bank mai Rs-5000+ LIC-Rs 26752 + bachchi ka yojana karaya hua RS 20000 + other Rs- 25000 hai total=76752 hai aur ek zameen wale se zameen khareedane ki baat karli hai jo zameen taqreeban Rs-750000 seven lakh fifty thousand me tay huee hai to kaya aaise me jo log madad ke liye kah rahe hain jo ki zakaat ka paisa hi denge to le sakta hai ki nahi . hadees ki roshni me jawab inayat farmayen.
Q: Mera bhai ki amdan bht kam hai ikhrajat k baad us k pass 5000 bachta hai us ki pay 41000 hai lekin do bachon k ikhrajat or bivi ko kharcha denay k baad kuch us k apny liye bhi nai bachta. Kya mai us ko zakat day sakti houn?
Q: Kia saving account say mil-nay wale profit ku musalman gareeb aadmi ku day saktay hain or khud istimal kar saktay hay?
Q: Konsay faqeeron ko sadqa dena chahiye? Bohot sa aese hotay he jo bazahir sahmand chaltay phirty nazar atay hen kia in ko sadqa dena sahi?
Q: Mera chacha ke bache nahe he owr woh ab kaam nahi kar sakte. Ayk saal pahle unho ne zameen beache he taqreeban 5 laakhe ke owr paise bank main he. Kya une zakaat de sakte he ya nahe?