Wudhu

Mehndi lagaane ke bad wudhu karna

Q: Mujhe mehendi k bary me ye sawal pochna hai k kis tarah ki mehendi se wazo hojata hai or kis tarah ki mehendi se wazo nh hota.

Logon ka ye kehna hai k layer wali mehendi se namaz nh hoti. Ub mra sawal ye hai k jab hum mehendi lagaty hain to 3 4 din k bad wo choti choti teh ban ker ukharny lagti hai. Kia ye wo layer wali mehendi hai k jab wo 3 4 din bad mitny lagy ti is trah ukhar k mity.is se namaz nh hoti?

Or usually sab mehendi isi tarah ki hoti hain. Buhat he kam mehendi aise hoti hain jo shayad he asani ae dastiyab hon k wo layer bn k nh utarti blky bus uska color hlka hojta hai. . Bara e meherbani mujhe is bary me tafseeli jawab de den me buhat zada confuse hun.

Thook me dark colour dekha

Q: Mai ne qaza roza rkha tha. Jb m wazu kr ri thi to jb last farz kr ri wazu ka to mouth se saliva spit kia to saliva ka colour dark tha. 3 , 4 daafa kia to yellow colour b feel hua. Proper red colour ni hua feel blood ka saliva m. Ab rozay ki halat m brush to kr ni skti. M ne wazu pura kia r namaz parh li. Kia mera wazu thk tha ya mjy namaz ki qaza krni hai?

Aansoo palko par sukh hojaaye to wudhu kaise kare?

Q: Kya rone ke baad jo aansoo palko par rehte he aur wo sukh jaane ke bad agar wudhu kare to wudhu hoga jabh bhi me dua ke liye roti hoon phir wudhu karne jaati hu to wo sukh kar safed rang ke zarraat chipakte rehte he kya wudhu hoga? Aur wo paani se nikalne par bhi nahi jaate? Aur mere palko par pata nahi kuch safed rang ke zarraat aksar rehte he aur wo chipke huwe nahi rehte. Me us se nikaalne bohot koshish karti hoon aur kabhi kabaar mere palko bhi nikalkar aajaate he phir bhi aur safed rang ke zarraat rehete he kya mera wuzu jaaiz he aur kya meri namaaz qubool hogi ya me gunah gaar kehlaaongi agar me isko poora nahi nikaaloo?