Paaki owr Napaaki

Dhobi ka dhoya howa kapra

Q: Dhobi ka dhoya huwa kapra paak hoga kya? Jab ke hum toh yeah yakin ke sath nahi keh sakta hai key dhobi ne jis jagah par kapre ko dhowya woh jagah paak he ke nahi. Iske alaawa agar dhobi ne kapre ko dhow kar phir kisi baalti me duba kar nichor leta hai, us baalti paak tha ya nahi hum ko to patah nahi hai. Hum ye yakin kar le ke jis soorate haal me dhobi ne kapra ko dhoya kyo na ho kapra paak ho gaya kyo ke hum apne ankho se toh kuch dekha nahi hai.

Napaak kapre ku dhowna

Q: Phene huwe kapre par thori se napaaki lag kar agar sook gayi, bad me wo kapra phen kar ghusal karne ke waqt najasat sook jane ki wajah se ye to yakin he key kapre me najasat lagi thi magar kaha lagi thi woh yaad nahi. Aysi haalat me ghusal karne ke waqt, kapre ke kissi bhi hisse ke thori si jagah dhowlene se paak hoga kya?

Paaki owr napaaki

Q:

1. Agar kapre par kisi tarah ki napaaki lagi ho to kaise saaf karna chahiye.

2. Agar insaan pakhaane ke dauraan paani ke katre par jaye aur usse saaf kar liya jaye to paak ho ga ke nahi.

3. Insaan kin kin cheezo se napaak hota hain.

Kapre par napaaki

Q: Me ye janna chahta hu ke phene huwe kapre me mazi, mani, peshaab lagkar sook jane ke bad, agar wohi kapra phenkar farz gusal karne ke waqt kapre me napaaki nazar nahi aati hai to agar kisi ne farz ghusal kar liya to ghusal ho jayega kya? Our jism napaak rahega kya? Suna ha ke is tarah ke kapre ko ghusal karne ke waqt kapre ke kissi bhi hisse ko teen ungli ke barabar jagah ko Bismillah par kar teen baar dholena chahiye. Yeah baat sahi hai kya? Mufti Sahab aap meherbaani kake is shak ke faisala kar dejiye.

Napaak kapra baalti me dhowna

Q: Mujhe ye janna he agar kisi ne paani jaisi najaasat lagnewali napaak kapra kisi baalti me biga kar rakh diya, phir kapre ko baalti se nikaal kar our baalti ke undar ke pani phenk diya. Bad me jab wo napaak baalti pura ka pura sook gaya to os baalti me paani daalkar our sara paani phenk dene se baalti paak hojayega kya?

Badan ku paak karne ka tareeqa

Q: Agar kisi ne napaak kapra biga kar rakhne wali baalti ke undar ka paani nikaal kar phir osme paani bhar kar gusal kar liya. Dosre din farz gusal karne ke waqt oska jism me jo napaak paani laga tha wo shookh gaye, toh is sorate haal me oske jism ke upar sirf paak paani daal dene se farz gusal hojayega ya sare jism ko mal mal kar dhona parega? Kyun ke jism ke kuch hisse ko toh mala nahi jata hai jaise ankh ke baal our ankh ke undar ka hissa, naak ke undar ka hissa, sar ke baal, kan ke undar ka hissa.

Napaak kapre ku saaf karna

Q: Agar kisi kapre me peshaab lag ke shook gaye our bad me jab us kapre ko dhone ke liye le gaye to us kapre me peshaab ka koi nishaan nazar nahi aa raha hai, our kapre ke kisi hisse par peshaab lagi thi wo bhi yaad nahi aa raha hai. Is haalat me us kapre kis tariqe se dho kar pak karna parega?

Napaak mug ku dhowna

Q: Muje ye jana he ke agar kisi ne napaak kapra biga kar rakhnewali baalti me paani lekar aur os ku undar mug gusa diya our bad me jab wo mug sookh gaya to os mug ke sare hisse par paani daal dene se pak hojaega?