Napaak kapre ku saaf karna
Q: Me ye janna chahta hu key napaak kapre nichorne ke waqt kya hath napaak ho jati he ke nahi? Our kapre se napaaki door karne ke liye, kapre ko nichorne ke waqt kapre me pani ka cheenta dene ke liye mug ko hath lagaane se kya mug napaak hoga? Our kapre ko ghusal khaane ke jis jagah par nichora gaya os jagah kya napaak hojayege? Agar hoti hai toh phir kapre paak hoge ke nahi? Agar nahi hote he to kapre ko nichorne ke bad, kisi baalti me paani lekar baalti me kapre ko dubana parega kya? Agar kapre ko baalti ke pani me dubaana parega to ek baar pani me duba dene se kya paak ho jayega? Aur wo balti paak rahegi kya? Our ek baar agar kapre ko nichora gaya jagah napak ho jati hai to os jagah ko kaise paak karna parega? Kapre ko paak karne ka aur koi tariqa hai kya?