Paaki owr Napaaki

Bachcha tanki ke andar peshaab karna

Q: Hamare bachche ne jis ki umar saare teen saal he us ne tanki ke dhakkan pe chota peshaab kiya. Dhakkan band tha lekin corner ki jaanib se wo ris ke andar ja sakta aur tanki me paani bhi kam tha. Hum paani ke truck se laate. Din ko ya shaam ko hum ne paani truck se paani bhar liya tanki me. Ab kiya us paani ko istimal kiya ja sakta he. Bachche ko peshab karta dekha nahi kisi ne bus tanki ka lohay ka dhakkan pe dhaag sa andaza lagaya he ke shaayed bachche ne peshaab kiya he. Ab kiya hukam he.

Mazi ko kapre se dhona

Q: Mard ke sharam gaah se jo paani sa nikalta he shuru me jab mard thori khaahish ubharti he jis ko mazi kehte he uske baare me or jo wadhi nikalti he uske baare me batayen ke kis haalat me kya karna chahiye kaise kapre dhona chahiye ya mazi nikalne par ghusal karna chahiye? Aur agar ihtilaam huwa to kitne kapde dhone chahiye sirf neeche ke kapre dhona sahi he ya badan ke saare kapde dhona chahiye chahe wo gande ho ya na ho.

Kapre najis hone me shak

Q: Mera sawal ye he ke jab bhi me sink/basin se haath dhota hu to kuch cheente kapron par aajati he, jis jagah cheente aate he me jab us jaga ko geela hath kar ke paak karta hun to is hath se paani ke kuch katre kapron par gir jaate he to kya mere kapre najis ho jate he?

 

Peshaab ke cheente

Q:

1. Me aksar khuli jaga me istinja kerta hoon jis say kabhi kabhi peshab ke halke cheente urte hain jo ke nuqtah ki tarah hote he kapron par. Is me napaaki aur paaki ka kya hukm he?

2. Mazeed ye he ke kitni miqdaar peshaab ki kapron ko napaak kar deti he?

Mazi owr mani me farq

Q:

1. Mai aap se poochna chahti hun ke ihtilaam ki wajah se agar mani khaarij ho jaye toh kya wo kapre par qatre ki tarh dikhti he?

2. Subah uthne par mujhe koi khwaab yaad nahi tha aur naahi koi geelapan aur kapre par koi nishaan bhi nahi tha lekin dhiyaan se dekhne par ayk chota raai ke baraabar nishaan mila jo ke samjh nahi aaya ke kis ka nishaan he ya pir kapre ka dhowya huwa koi nishaan he? Itni choti se cheez ke liye mujhe ghusal karna para?