Published 7 years ago
Last updated 5 years ago
Q: Hamare bachche ne jis ki umar saare teen saal he us ne tanki ke dhakkan pe chota peshaab kiya. Dhakkan band tha lekin corner ki jaanib se wo ris ke andar ja sakta aur tanki me paani bhi kam tha. Hum paani ke truck se laate. Din ko ya shaam ko hum ne paani truck se paani bhar liya tanki me. Ab kiya us paani ko istimal kiya ja sakta he. Bachche ko peshab karta dekha nahi kisi ne bus tanki ka lohay ka dhakkan pe dhaag sa andaza lagaya he ke shaayed bachche ne peshaab kiya he. Ab kiya hukam he.
A: Agar peshaab tanki ke andar gaya to khaali kardo. Khaali karne se woh paak hojayega.
And Allah Ta'ala (الله تعالى) knows best.
Answered by: