Q: Mene apni study ke liye qarz liya tha relatives se. Meri ab study complete ho gayi he aur Allah ne mujhe achi job bhi de di he. Jin relatives ne mujhe qarz diya he, wo log kehte he ke humne apki madad ki he, qarz samajh ke paise ni diye, lekin mene qarz samajhta ho. Kuch dost bhi he jin ho ne mujhe paise diye lekin wo log kehte he ke jab bhi apke paas paise ho to wapis kar dena. Fikr mand hone ki zaroorat ni hai.
Me ye poochna hai ke mujhe ab job milli he aur me zaroorat ke mutaabiq apna qarz bhi thora thora waapis karta ho. Mera irada qurbani karne ka he, kiya meri qurbani qabool ho sakti he? Qarz to ziyadah he, wo itni jaldi ni utre ga lekin mujhe qurbani ka shok he?