Iddat ke dauraan mehndi lagana
Q: Kya husband ki death k baad iddat k dauran hair me mehndi lagana gunah hai?
Q: Kya husband ki death k baad iddat k dauran hair me mehndi lagana gunah hai?
Q: Recently mere husband ne mujhe 1 divorce di hai or mai 4months pregnant houn ab meri iddat kitni hai?
Q: Mera nikah 1 year pahle hua tha rukhsati nhi huyi thi lekin hm logo ki baat chit mobile pe husband wife ki tarah hoti thi achanak nikah k 6 months k baad se hi mere husband ki tabiyat kharab rahne lagi ar phir pata chala kidney me problem hai ilaj chalta raha bimari badh gyi ar phir shadi ko ek saal do mahina hua tha k achanak unki tabiyat zyada bigad gyi ar unhe delhi hospital me admit kiya gya .mai bhi delhi me thi to mai unke saath hospital me rahi kyuki mere husband ek minut bhi mere bina nhi rahna chah rahe the kyuki wo mujhe bahut chahne lage the lekin mere maa bahnon ko mera unke sath rahna pasand nhi tha lekin mai zabardasti ruk gyi phir discharge hone k baad bhi ghar me unke sath rahi kyuki wo bahut ro rahe the k mujhe chor k nhi jao mai tumhare samne marna chahta hu mai apne ghar walon k ladayi krke unk paas rahi phir unki death ho gyi .death dehradun me huyi hai jaha unki bahan ka ghar hai.mai ye jaan na chahti hu k mai bina rukhsati k husband k sath rahi unki dekh bhal kiya to kya mujhe iska gunah hoga kya mere maa baap bhai bahan sahi hai ar mai galat hu dusri baat mere husban ki ammi hayat se hai to wo bhi apni beti k paas ruki hai ar iddat tk mujhe bhi roke liya hai lekin isme bhi mere ghar wale ko aitraz hai kahte hai rukhsati nhi huyi to iddat mayke me hoga ya husband k personal ghar me ar dusri baat bina rukhsati k mere ghar wale rishte ka utna value nhi de rahe plz batayiye kya karu samajh me nhi aata kaun galat hai kaun sahi
Q: Aurat ki iddat kitni ho jab wo hamla ho after husband died?
Q: Mere chote chacha ke 5 bache hn jinme 2 doodh pite bache hn. Chote chacha ki biwi ghar se bhaggai hn kisi or ladke kepas apne 2 doodh pite bache ko lekar. Ab hamare chacha apne susral me kerae hn or kehte hn mene divorce dedi h apni bivi ko. Muje ye bataen shariat ke hawale se unhone jo divorce di h wo qabool h ya nai kyunke unki bivi hamari chachi to iddat me bi nai bethi kyunke talaaq ke bad iddat me to betna parta hai na? Wo bs bhaggai ghar se n koi contact nai h ab?
Q: Aik beti iddat main apne baap ki sever bemari main milne ja skti hai ya baad main in case baap ki death pe ja skti hai?
Q: Iddat k douran orat kin kin halat me ghar se bahar nikal sakti hn? Or us nikalny ka andaz ya tareqa yane k parda kis tarah kary ge? Bemar ho jay, ya koi reshtdar foat ho jay to ja sakti hn ya nai?
Q: Mera masla ye he k mere divorce hone wale h 2-3 din me. To muje iddat kb se or kaha, kis tarah bharni hogi? Me pichle 5 mnths se apni ammi k ghr hu. Meri phli shadi se 1 beti h jiski parwarish k lie me job krti hu. Me teacher hu or meri school ghr se 20 km dur h. Ghr me koi mard h nhi sari zimedari meri h to kya me iddat k doran bahar ja skti hu? Meri school me sirf ladies staff h or koi or income ka zariya nhi h to kya possibilities h?
Q: Agar husband ki shaadi k 40 years ba'd death ho jaye to kya is umar (age) mein b us ki wife per iddat puri karna farz hai?
Q: Mera sawal yeh hai ke agar aurat teen talaaq ke baad iddat ki muddat mein hai aur woh kisi gair mard ke sath chori se mubashrat kar le ya koi mard usko neend ki tablet dekar mubashrat kar le to kya usse phir se iddat karni hogi?