Waraasat

Waraasath

Q: Humaray aik bhai ka intekal walid ki wafat say pehlay hua aur aik behan ka intekal walid sahib ki wafat kay baad hua, kya in marhoomeen ka wirasat may hissa (haq) hoga agar haan tou kis ko dya jaye ga (marhoomeen kay shouhar / bewi ko, ya un ki aulad ko)?

Hamare Walid ne apne wafat se pehle hi makaan ko hamare walida ko hadya kar deya

Q: mera swal ek makan ky mutalik hy. ham 2 bhaee aur 6 behnen hen, hamary walid ny apne wafat sy pehly he makaan ko hamare walida ko hadya kar deya tha. ab walid ke wafaat ky baad ame ny fesla kiya ky ye makan ham dono bhayoo kke milkeyat rahy ga aur ham dono bhai apne 6 behno ko ek ek lakh rupya dengy. jo ham dono bhayoo ny mill kar ada kar deya tha. ab kafe saal guzarny ky baad hamare ek behan taqseem ky us amal sy ikhtelaaf karty hoy makan ke sharee warasat ky hissy ka dawa kar rahee hy. shareat ke ro sy ab iss makan ke warasat ka kea hukam hoga?