Meerath
Q: Meri dadi 3-Aug-17 ko fout hoi. 4 betian hein or iklota beta 1993 me fout hoa. 3 patai or 4 potian hein. Kia betion k elawa Potai Potion ko Dadi k terkai se hissa milay ga. Mokammal Tafseel Fermain. Thanks
Q: Meri dadi 3-Aug-17 ko fout hoi. 4 betian hein or iklota beta 1993 me fout hoa. 3 patai or 4 potian hein. Kia betion k elawa Potai Potion ko Dadi k terkai se hissa milay ga. Mokammal Tafseel Fermain. Thanks
Q: Waalid sahb ka ghar ha bhai 4 ha 2 bahna 2 bhai kirya la jata 2 rah raha bhno ko to aik rupya nahi leti ami hayat ha qbu ki apnj pension bhi leti ha phir bhi pareshn rahti bhaik jo rahta narqz hota kq 2 jo gaya kiraya lenq kyou atta 40.000 kiraya ata 20.000 2 bhai la jata 20.ami baqi 2 pa karch karti saryat kq hukm kya ha kindly reply.
Q: Baap ki zindagimen beti ka inteqal hogaya. Phir baap ka inteqal huwa. Ab baap key tarkey men marhoom beti ku hissa milega?
Q: Agr aurat ka intekaal ho jayai aur wo apnai peechai shoher, aik baita, 4 baitiyaan chorai tu us ki warasat in 6 wursa mai kaisai takseem ho gee.
Q: Hum 4 bhai aur 6 behne hain. Mere Marhoom Abbu (Wafaat 29 Dec 2016) ki Ghalle (Dhaan ,Gehu) ki adhat hai jise mere Abbu ke saath mera chhota bhai Amir chalate they. Amir is kaam me taqreeban 8 se 10 saal ke arse me Abbu ki madad karta tha.Beech beech me Abbu se naraaz ho kar adhat par kaam karna band kar deta tha.Hum sab use samjhaate they tab wo kaam me Abbu ki madad dobara karna shuru karta tha. Abbu 2014 se zyaada beemar ho gaye aur tab Amir ne poori lagan se kaam kiya. Abbu hamesha use tankhwah dete they kaam ki jo ki kam thi hamaari nazar me. Baaqi uske Kharche Abbu hi uthaate they. Ab mera bhai Amir mujhse aur baaqi dono bhaiyon se BLANK STAMP PAPER per dastkhat karne ko zabardastI kar raha hai, aur keh raha hai ki adhat me Ammi ka naam dalwaana hai.Ammi aur taqreeban saare bahen bhai uske saath hain. Amir ne ek stamp paper par Abbu ki wasiyat jo January 2014 ki hai kahinse nikali (jiska mujhe Ilm nahi tha ) aur us wasiyat me Adhat sirf mere Bhai Amir aur Yasir ke naam karne ko likha tha. Aur likha tha ke merI Biwi ( Ammi) aur baaqi bachhon ka daawaa ghair qaanoni hoga. Ab abbu ne abhi 5 mahine pehle Mujhe baitha kar MOOH ZABANI ek wasiyat ki Jisme unhone apni wafaat ke baad Apni Adhat me se 6 betiyon ko 2 - 2 lakh Rupye dene ko kaha. Amir ko Adhat ka 40% ka hissa ( jo unhone apni hayaat me hi taqreeban 10 mahine pehle hi kar diya Hamare sign karwa ke) Aur hum baaqi teen bhaiyon ko bache hue 60 % me 20-20 % share dene ko kaha. Saath hi Abbu ne kaha ki Lekin jab tak Ammi hayaat hai us bache hue 60% me se Ammi ko bhi hissedar bana na.( Is tarah hum teen bhaiyon aur Ammi ko 15-15 % milega Ammi ki hayaat tak). Aur mujhe hidayat di Abbu ne ke mere baad mera Adhat band na hone dena aur Amir ko bhi Adhat bechne na dena.Aur kaha tum teeno bhai bahot zaroorat padhne ya zyaada profit ikattha hone ki so oratory me hi adhat se Rupye nikalna. Ek saath kabhi na Rupye nikal ke kahin meri adhat thapp ho jaye ya Amir ko koi pareshani ho jaye. Is will ki shahadat Ammi ne Abbu ke beeswe waali roz di thi ke mai sun rahi thi jab Abbu tumse ye zubani wasiyat keh rahe they. Lekin Ammi ab dheere dheere apni gawahi se peechhe hat rahi hain (Question 1)Ab mujhe bataiye ke mai Abbu ki kaun si will maanoo jis seghar me Sukoon rahe. Iske alawa Abbu ka ek ghar(taqreeban 15 lakh ) hai Jo mere behnoi ke naam par hai aur iske alawa 15 lakh cash bhi behnoI ke paas hai Abbu ka. (Question 2)Aisi situation me shariyat kya hukm deti hai. (Question 3)Kya jo bhai business sambhalta hai uska Zyada hissa banta hai. (Question 4)ya us bhai ko poora business de dena chahiye aur baaqi kuchh bhi na le. ( Question 5)Kya Sabse bada beta hone ke naate mujhe Abbu ki saare business aur property ka hisab kitaab lene ka haq hai (Question 6 )Mai yeh chahta hoon ke Abbu ne jo 5 mahine pehle mujhse MOOH Zabaani wasiyat ki jisme Abbu ne apne har bachhe aur Biwi ko shamil kiya hai , wo maani jaye (Question 7 )Ya mai wo wasiyat maano jo january 2014 me likh kar chhupa di gayi thi ,jisme sirf mere do bhaiyon ko hissa milta hai aur baqi bhai behno aur Ammi ko kuchh nahi. (Question 8 )Ab Amir ne ek nayi baat ki hai ki wo bache hua 60% Ammi ke naam karne ko taiyyar hai. Lekin Ammi koi hisaab kitaab check nahi karti sakti hai business ka isliye aisa mujhe theek nahi lagta. Mujhe lagta hai ke mera bhai Amir mujhe koi hisaab kitaab nahi dikhana chahta hai. Aur Abhi tak dikhaya bhi nahi hai . Aapki jaankaari ke liye bata doon ke Mere Walid Walida behen Hina ( unmarried)aur Amir ( unmarried) Shahjahanpur ( U.P.) me rehte hain . Mai ( married )(businessman) aur mujhse chhota bhai Adil( married) (job)Delhi me alag alag rehte hain. Lekin hum sab taqreeban har maheene ya do maheena me hafte bhar ke liye apne ABBU AMMI ke paas rehne jaate rehte hain.
Q:
1. Waalid ki wafat ke baad jo beta business me waalid ke saath kaam karta ho aur ghar chalata ho use zayada hissa milna chaiye
2. Waalid ki purani stamped wasiyat (jab waalid beemar the, jisme sirf do bhai waris hai) mani jaye ya waalid ki wo mooh zabani wasiyat mani jaye jisme (jo bhai business dekhta hai uska 40%) aur baqi 60% me se maa, baqi bhai, saari behno ka barabar hissa hai (tab waalid ki tabiyat sahi thi) aur maa ne us wasiyat ki gawahi di hai. Purani stamped wasiyat ke bhi gawah hai magar us wasiyat ke baare me ghar ke log nahi jaante the. Kya aise wasiyat per shariat ke hisab se objection kar sakte hai?
Q: Agar kisi ke paas business aur property (makan) dono hai to uski wafat ke baad kya wasiyat honi chahhiye jabki uski biwi, bete aur betiyan zinda hai. Zinda rehte apni wasiyat me do beton ko waris banana kahan tak sahi hai jabki doosre bete, betiyan aur biwi zinda ho. Sirf isliye ki wo beta business me hath bata raha ho.
Q: Mery chaha ke intiqal ke bad meri Chachi (Mother in Law) ny apna ghar firokht kerdia hay jo k chachi ky nam tha. Us pasay say wo rent per ghar layker reh rahi hain. Aur apny guzar basar k liay bank main passay jama ker diay hain. Is sorat main un ki bachon ko us pasay main kitana hissa banta hy. Jub ke larky apny gharoon main khush hain aur bachian bhi apny ghar main kush hain siway chand bacho ke. Wirsat ki taqseem kub jaaiz hy?
Q: Ayk baap fout hojaye or ghar wirasat me ajaye to bachon ko or maan ko kis hisab sy ghar ka hissa mily ga? Baap ki Naseehat (hath ki likhi hoi) apni biwi ke naam kitni ehmiat hy shariat me. Aik beta fout hogya hy to os ki bewa or bachon ko kitna hissa milly ga. Wafaat ke bad bety ki kamai ka eik maan ko kitna hissa milta hy? Ghair Muslim ko zakat lagti hy k nhi agar anjany mn ghair muslim ko zakat dy di to dobara deni pary gi?
س: میں کشمیر کا رہنے والا ہوں۔ میرا سوال یہ ہے کہ اگر لڑکی کی شادی ہوچکی ہے اور اس کے کچھ زیورات بھی ہیں اور وہ زیورات اپنے باپ کے پاس ہیں اب لڑ کی دنیا سے رخصت کر گئی کیا اس کا باپ وہ زیورات لڑکی کے شوہر کے اجازت کے بغیر کسی مسجد کو دے سکتا ہے۔