urdu

Aazmayish ke waqt jame rehna

Q: Mere shaadi ko 21 years ho gaye. Mera 20 years ka beta aur 16 ki beti hai main ek Alhamdulillah deendaar aurat hoon. ghar ka maahol aur bachchon me aur shohar me bhi deendari hai.Mera ek ajeeb masla hai jis ki wajah se main bahut ziyada pareshan hoon.Shaadi ke 21 saal se mujhe in sab baaton ki aadat hai lekin aaj kal bahut kuch bardasht nahi kar paati.Sehat bhi sahi nahi rahti. Mere shohar ka mizaaj saqt hai jo mere liye aadat ban chuki hai.lekin din ba din haalat aur bi bura ho raha hai.Bina wajah mujh se gussa ho ke 3-4 din baat nahin karte kitna bi koshish karoon nahi maante,aisa mahine me 4-5 baar karte hain.ghar ke bahar ki pareshani ho to bhi aisa karte hain.mere baare me kabhi bhi achchi baat nahi karte,mere taraf muhabbat se dekhte bi nahi.Khbhi bi mere takleef ke baare me nahi samajhte agar kuch bi kehne ki koshish karoon to mujhi per baat pher dete hain.mujhe in sab ki aadat hai lekin main janti hoon ki shohar ka martaba bahut bada hai agar wo khush nahi to main jahunnami ban jaaongi maine dunya ki zingagi ko kabhi bi ahmiyat nahi di mera pehla maqsad mera aaqirat hai mere shohar ke rawayye ki wajah se mere dil me unke liye muhabbat kam hota jaa raha hai main kuch bi nahi kar pa rahi hoon siway Allah se dua ke. agar aisa hi chalta raha to mere ibadaton ka,mere aaqirat ka kya hoga? kyun ki agar shohar naraaz to main waise hi barbad hoon.to main kaiser is masle ko handle karoon?bewajah shohar ki naraazgi bi nahi chaahiye aur mujhe meri aaqirat mukammal tariqe se banana hai.Ab in sab ki wajah se ibadaton me kotahi ho sakti hai aur mujhe bahut pareshan karti hai ke shohar hi raazi nahi to Allah mujhe nahi bakshega.maine mere shohar ke liye jo bi qurbaniyan di hai Allah jaanta hai. Mufti Sahab aap naseehat kijiye ke main meri aaqirat kaise banaaon main shohar ko to nahi badal sakti.

Talaaq ko mu'allaq karna

Q: Kuch din pehle mere shohar ne mjh pr aik shart lagai th talaq ki agr tm ne kbh mjhe dhoka dia mtlab merr hoty huy kisi k sath afair kia to tmhe 3 talaq ho ge...thore din bd ma main ne un se pocha ap ki nazar ma dhoka kia hota h or wo jo alfaz ap ne shirt k kahe thy k ye krne se tmhe 3 talaq ho ge wo kon se shart th k kia krne se mjhe talaq ho ge wo kis kam ka kaha tha k agr ma ye kam krun ge to ap ka or mera rishta khatam ho jaye ga..to unho ne bagair sochy smjhe kehty gaye apne koi bt apni kisi frnd se share ni krna ye bh dhoka h kisi gair mard se bila waja bat ni krna ye bh dhoka ha or ye bh shart h meri... kisi se bilkul qareb khare ho k bt ni krna ye bh shart ma ata h or etc.lekin ksi bh shirt k sath talaq ka lafz ni lagaya bus ye kaha k ye bh shirt ha wo bh shirt h..jb k bd ma unho ne kaha k mri shart sirf usi bt pe th k mre hoty huy ksi k sath afair ni krna warna 3 talaq ho ge bus baqi jo bh ma me kaha us ma talaq ki shart ni th or na he mri niyat ma tha to mera sawal ye ha k agr ma apni ksi dost se bt krun ya ksi gair mard se bt krun to talaq waqae ho ge?jb k un ki niyat ma ni tha unho ne mera ye sawal pochne pr k konsi bt pr ap ne 3 talaq ka kaha tha k kia krne se or ks shart se mjhe talaq ha...is k jawab pr kaha mri ye shart h wo shart h or etc ..jb k un ki ye sb shartein ni th...or na he unho ne ksi shart k agy ye lagaya k agr gair mard se bt ki to talaq ya apni ksi dost se bt ki to talaq...bus ye kaha tha k mri yeh bh shart h or wo bh shart h or bad ma halfia kaha k mri shart sirf usi pr h k kisi k sath affair ni krna baqi ksi bt pr ni

Kya larke ke lia wali muqarrar karna zuroori he?

Q: Mere shadi agle mahine mere khala (maternal aunt) ki beti se he. Mere walid ka inteqal hogaya, hamare ghar me mere ammi, mera bhai (17 years), meri bahen (23 years) he. Hamare paternal uncles (taya, chacha) se contact nahi he, hamare mamu hamse baat nahi karre kyunki hamne unki beti se shadi karne se inkaar kardiya tha.

1. What is the meaning of wali and witness while performing nikah?

2. Who can be my wali and witness?

3. Nikah ke waqt kya me apne ammi ko wali bana sakta ho?

4. Nikah ke waqt kya me apne susre (father in law, khalu) ko witness bana sakta ho?

5. Kya mera bhai (17 years age) witness ban sakta he?

6. Kya mai witness aise musalman ko banasakta ho jo mera rishtedaar he magar namaz kabhi kabhi padta he aur durga jata he?

7. Kya Qazi sahab witness bansakte he?

8. Kya meri dulhan ke gawah aur mere gawah wo hi log hosakte he jo mere he?

9. Kya wali bhi witness hosakta he?