urdu

Beautician ka course karna

Q: Mai apne center per ladies beauty parlour ka course kerwana chahta hun. Government ki taraf se mujhe offer kiya gya hai mgr mere ghar k log mna ker rahe hai ki usme eyebrow aur wax aur bal ktana sikhaya jayega is lia ye haram hai. Aur usme kamaya gya paisa bhi haram hai. Kya iski kamayi haram hai ya halal?

Alaihis Salaam ko ghair Nabi ke liye istimaal karna

س: ہمارے ضلع میں ایک سیاسی شخصیت نے اسماعیلی فرقے کے حاضر امام آغا خان کے لیے علیہ سلام کا لفظ استعمال کیا جس سے بہت سے لوگ یہ الزام دینے لگے کہ موصوف نے توحین رسالت کی ہے کیونکہ یہ لفظ پیغمبروں کے لیے مستعمل ہے کیا واقعی یہ لفظ علیہ سلام پیغمبروں کے لیے مختص ہے کیا واقعی موصوف نے توحین رسالت کی ہے

Jis masjid me Imaam ke khiyalaat faasid he usme namaaz parhna

Q: Me ek behre ki school me kaam karta ho. Mere daftar ke paas jo masjid he uske andar tableeghi jamaat ka aana mana he. Ghair muqallid ne bola ke is masjid me juma ke bayaan me tableeqh jamat walo ka Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke baare me aqeeda saheeh nahi bolke kare micrphone pe bole sare muhalle me sunaai deta aur hamaare akaabir ko bura bhala kehte, jaise ke Ashraf Ali Thaanwi (Rahimahullah) ko bora bhala kehte he. Mere pass ki sari masjide aysi hi he.

1. Kya me is masjid me juma ke namaz ke liye ja sakta ho ya nahi?

2. Ye masjid thori door he isliye me dafrat ke chat pe chote behre bachcho ke saath jamaat banake rowzaana namaaz parta ho. Kya ye saheeh he?

Hambistari ke ba'd khoon dekhna

Q: Meri shaadi ko abhi sirf ek mahina hi hua hai aur jab bhi hum sex krte hai toh mujhe khoon aata hai aur ghusl krne k baad discharge k sath halka halka sa khoon aata hai toh kya mujhe har namaz k liye har baar gusl krna hoga? Mai sex krne k baad 2-3 ghante wait krti hun fir gusl karti hun aur ye khoon haiz ka nhi hai.

Kin cheezo par zakaat waajib

Q:

1. Aik tola sona ka sath kuch pasay hon jis pa saal pa zakat banti h lakin is k sath jahez ki chizen par or writing pads or artificial jewellery par zaroorat se zayed kapro jooton waghera pa jin ko kuch saal bhi guzar gaye hon jo fil hal to use na kar rahay hon magar future ma zaroorat parnay par istimal k liye rakhen hon to kia in pa zakat or qurbani farz hogi?

2. Or agar sawa tolay sonay k sath pasay na hon magar ye sab jo upar btaya h usi tarahn ho to kia in sab pa bhi qurbani or zakat wajib ho gi?

Shohar biwi ku khitaab karne beghair "mai tume talaq dena" kehna

Q: Mera sawal ye hai k ek din mai facebook use kr rahe thi us mai ek actor ki picture ai mainay apnay husbend se bola yeh kon hy tou mere husbend ko us actor ka naam nh pata lekin drama ka ek dialogues bola "mai tenu talaq dena" un k mind mai woh actor actress thay mai bhi pass baithi tou is dialogues se hamaray nikah pr asr tou nh para hoga na?