Azaan

Azaan ke waqt letna

Q: Maghrib ki azaan ke waqt ya kisi aur waqt ki azaan ke waqt kya leat sakte he jabke namaaz to padhni he hi azaan ke baad lekin sab kehte he magrib ki azan jab ho to leto nahi to iske peeche kya sachaai he? Aur ham let sakte he ya nahi?

Hayya Alas Salaah par khara hona

Q: Muje ye poochna he me jis masjid me namaaze parta hu waha muazzin saheb jab namaaz ke liye takbeer dene ke liye khare hote he to imaam mana karte he pele khare hone ko (muje ye yaad nahi hadees he ya sunnat jo imam kete he Allah muje maaf farmaye) ke Huzoor Paak (Sallallahu Alayhi Wasallam) ne muazzin ke "hayya alas salaah" kene pe khare hone ka hukum dia hai? To kya aap muje hadees se ya mustanad daleel se bataskte he? Kya wo saheeh he?