Pareshaani

Pareshani ka hal

Q: Maien 50 saal se namaz parne ki koshish krta hoon per haar jaata hoon. Tarah tarah ki musibaten ho jatin hain aur namaz choot jati hai. Ghar me maar peet, jhagre, bimariyan, barbaadiyan hain. Ek larka hai jo 2 saal ki umar se aaj 37 saal ki umar ho gayi bimaar hai. Rizq nahi muhtaji hai betiyon ki shaadi nahi ho rahi. Koi bhi kaam kharaab ho jata hai. Kai wazifa istemaal kiya per ulta asar hota hai. Kisi ne shayad bad dua di hai. kaise sab thek hoga?

Wasaawis ki wajah se pareshaani

Q: Muje waham aur wasawis ki bimari he me isse bahut pareshan rehta hu har chiz muje har chiz me tarah tarah doubt paresan karte rehte he isse me bahut confuse rehta hu kisi bhi kam kar ne ke andar khof mehsus karta hu please muje is pareshani nikal ne ka koi rasta bataiye kya doubt aur wasawis ke buniyad par kisi chiz ko chor sakte he shaytan purani bato ke wasawis dalta rehta he me ignore karne ki koshis karta hu lekin kuch nahi hota.

Ghalat khiyaalat aur waswase

Q: Meri umer 28 years hai and unmarried ho. Har waqt mere mind mai negative thinking and shaytani waswasee ati hai. Bahot ziyada disturb ho, nimaz hi nahi per sakta shytani waswasoo and sexy khiyalat se, asthfar ki wazifa kasret se kerta ho lakin ithna khas aser nahi hora ha. Please koi wazifa bata de ke ye sare problems solve ho jaye.

Maali pareshaani ke lia wazifa

Q: Mei bohot pareshan hoon. Maali pareshani boht hai. Mei Allahb paak se boht dua bhi maangti hoon aur abhi umrah bhi ada kar ke aayi hoon lekin mujeh aisa mehsoos honey laga hai ke meri dua qabool nahi ho rahi. Dua kis soorat mei qabool nahi hoti? Aur agr aap koi quran ya hadith mei se wazeefa bata den rizq mei kushaadgi ka to boht mehrbani ho gi. Duaon mei yaad rakhiye ga.

Shaadi me pareshaani

Q: Mufti sahb aaj kal mai ek ajeeb kashmakash mai hon. Samaj nahi ata kiya hogaya hai and kiya ho raha hai. Meri shadi ko taqreban do saal hone wale hai. Mere husband shadi ke ek sal tak bilkul thek they. Ab achnak unko mai buri lagne lagi hon. Meri choti si choti ghalti ko b woh dil mai rakh lete hain. Na hi larte hai na marte hain. Bus dour hogaye hain mujse. Sahi tara baat nahi krte. Kehte hai ke tum mujhe achi nahi lagti, tumhe baat karne ka tareqa nhi ata. Waghaira waghaira. Unka dil hi nhi krta mujse bat karne ko. Na kuch share karte hain na meri pehle ki tara meri tareef krte hain. Bus khamosh rehte hain. Mera khuda gawah hai, mai un ka har haq ada krti hon. Mai inse boht muhabat karti hon. Lakin woh mujse boht dour chale gaue hain. Mera koi bhi haq ada nahi krte even humare bech shohr or biw ka woh haq bhi nahi jo sb se bara hota hai. 6 mahene se woh mere pass ek hi kamre mai hote hain lakin mujhe hath lagana tak gawara nahi krte. Kehte hain mai is shadi ko nahi manta. Pehle mante they ab pata nhi kiya hogaya hai. Plzzz meri mada kare tha woh mujse muhabat kare or mera ghar bach jaye. Woh namaz bhi nahi pharte. Lakin mufti sahb mai un ke bagair ek minute bhi nahi reh sakti. Ap mere ley dua kare or mujhe koi asa hal or wazifa bataye jis se mai in ke dil mai apne lia jaga bana sakon. Mere madad kare pleas... Mai un ka har hukum manti hon us k bawajood woh mujse khush nahi.

Shaadi me pareshaani

Q: Wife husband ku khush karny key liye sare ghar key Kam kere koi Kam wali na ho pregnant honey key bawajod din rat Kam kerny key bawajod na husband khush na susral tu kia hal heeen marna gali galoch kerna zalil kerna apny ghar walo ki galat ho ney key bawajod sahi kahna kia hal hen is ka? Please mujy bataye mere minyan or mere susral walye well educated hen me bi pahri likhi ho tang achuki ho har time bilawaja ki lare se kia Islam main ayse logo key liye koi ahkaamaat nahi koi hadith nahi. Namzi heen sab tu kia namaz perh ker koi koch bi ker sakta heen?