Namaaz me shubuhaat
Q: Me jab bhi namaaz parhti hun koi sunnat fardh ya nafil mujhe har ayk me kisi na kisi cheez ke reh jaane ka shak hota kabhi sajda ka ke ayk kya he kabhi tashhud me or kabhi surah me kabhi durood me se kuch reh gaya he isi shak pe muje har ayk ke liye sajda sahw karna parta he kabhi me sajda sahw kar leti hu or kabhi nahi jab nahi karti to pareshaan rehti hu ke namaaz ho gayi ya nahi me bohat pareshaan hun. Agar karun to phir to namaz bohat lambi ho jati he jo bohat mushkil ho. Me kya karun. Baraaye meherbaani meri rehnumaai kare.