Talaaq

Zabaani talaaq ke ba'd tahreeri talaaq bhejna

Q: Mere husband nay mujhy 2014 me zubani aik talaq di, uska koi tehriri saboot nahi tha, phir rujoo hogaya. Phir 2017 me aik notice bheja jis pe first notice likhwa tha, phir rujoo hogaya. Phir 2019 me aik notice bheja jis pe talaq dome likha tha. Hum samjhay ke 3 hogae, magar ab wo kehta hain ke abi 2 talaq hoi han kyun ke meiny mufti or wakely se mashwara kar ke pehle notice bheja tha us talaq ka tehriri saboot jo ke zubani di the, kyun ke agar mein ny us notice me ye nahi likha ke aik zubani di ha ab ye bhej raha hon, ab kitni talaaq hui?

Tanhaai me kehna "agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta..."

Q:

1. Agar koyi akele/tanhai mein apne aapse bataya karein ya muzakarat kare aur kisi purani baat ko leke wo ye kahe apne muh se ke agar mujhe talaq deni hoti toh mein ye kehta “muje tumhare sath nahi rehna aur talaq bolta” toh kya usse talaq hogi jabke niyyat uski sirf apne dimagh mein jo porani batein arahi thi.

2. Agar insan ko aisi baato ka khiyal ata hai aur usse nahi yaad ke usne kiya bat boli khud se muzakarat karte mein toh kiya usse talaq hogi? Bas dimagh mein shak paida ho raha hai jabke usko yaqeen he ke usne aisa kuch nahi kaha.

La ilmi me talaaq dena

Q: Main ye phochna chahta hoon ke mai apni biwi ko 3 dafa talaq de chuka hoon jis mai dusri dafa talaq jab maine di to meri wife pregnant thee aur mai la ilm tha kay hamal mai talaq hojati hai maine logon se yahi suna tha ke hamal mai talaq nahi hoti. Abh jab 3rd dafa di to pata chala ke wo bhi hogayi thee matlab mere mutabiq dusri aur teesri. Phoochna ye tha ke is la ilmi mai wo talaq hogi ya is la ilmi ki waja se ye rishta bach jayega.

Biwi showhar ku "mujhe talaaq do" kehne par showhar "Chalo tumhe deta hu" jawaab dena

Q: Me apnay shohar se gussay main kaha ke mujhe do talaaq do etc. gussay main thi to mere shohar ne kaha "acha chalo tumhe deta hu". Sirf yahi alfaz kaha mera gussah thanda karny ke liye aur meere baat ko khatam karny ke liye. Ba'd main mene poocha to unho ne kaha meri koi niyat ni thi or mere shohar ne sirf yahi bola k "Chalo tumhe deta hu" wo bhi mery kehne pe ke mujhe do mujhe do. Unho ne talaaq ka lafz ni bola to kiya is se talaaq hui?

Nikaah karne par teen talaaq muallaq karna

Q: Agar nikah sy pehly koi shart par talaq mu'allaq kardy masalan agar mai ne falan kaam kiya to mai jis sy nikah karu wo mujh par 3 bar talaq. Aur phir wo kaam kary phir dobara kahy ky agar mai ny ye kaam agar dobara kiya to dosre bar main jis sy shadi karo wo mujh par talaq. Aur phir wo kam us sy hojay aur phir wo kahy ky agar phir may ny ye kam kiya to teesre bar maire shadi jis sy howe us ko 3 talaq. Is tarah wo 100 bar talaq mashroot kary. Ab agar wo shadi karna chahy to kiya kary?