Talaaq ke baare me shak
س: میرا شک ہے کہ میں نے اپنے دل میں کچھ طلاق کے بارے میں کہا رہا تھا یا زبان سے مگر مجھ کو یاد نہیں کیا اس سے طلاق واقع ہو جاتا ہے
س: میرا شک ہے کہ میں نے اپنے دل میں کچھ طلاق کے بارے میں کہا رہا تھا یا زبان سے مگر مجھ کو یاد نہیں کیا اس سے طلاق واقع ہو جاتا ہے
Q:
1. Ek raat ko meri biwi se behs huwi aur mene use kaha “tum dekho me tumko subah paper behj dunga/behjta hu” toh kiya isse talaaq hogi?
2. Ye jo alfaz upar bole he kiya ye mustaqbil ke alfaz me shumar honge?
3. Akhri bat ye poochni he ke agar insan ki talaq ki niyat ho aur agar wo talaq alfaz mustaqbil ke alfaz ke saath ya wadah-e-talaaq ke alfaz ke saath kahe to kiya us case me talaaq hoti hai?
Q: Kiya half words jaise "taaliqun" ki jaga agar "taali" moo se nikal jaye to talaaq hoti ke nahi?
Q: Agar koi banda bohot ziada ghussay me ho, aur wo apni biwi se kahe ke abhi mujhe apni shakal mat dekhao. Talaq ka zikar nahi chal raha tha, bas larai jagra ho raha ho, to kiya is se talaaq hogi?
Q: Mere husband ne divorce paper par sign kar ke talaq di jis par 3 talaq tehriri thi ek majlis me di gayi 3 talaq. Kiya 3 talaq waaqi hogi ya ek?
Q: Meri shaadi ko 7 saal se ziada ho gayi he. Mere shohar ne mujhe naan nafaqah ki koi kami nahi rakhi. Magar izdwaji huqooq pichly 5 saal se ada nahi kar rahe he. Shuroo me bohot ilaaj karaya. Allah Paak ne ek beta bhi diya. Ab me talaaq chahti hun.
Kiya mera talaq ka mutalba jaaiz he?
Q: Me ek dost ke paas gaya tha. Waha thori se narazgi ho gayi to me ne ghusse me kaha ke agar me dobara yaha aaya to meri biwi mujh pe talaaq. Ab masla ye he ke woh dost mera phoopi zaad he. To mera sawal ye he k agar ayinda ke liye me gaya to kiya talaaq ho jayegi?
Q: Meri shadi ko 3 saal ho gaye he. Mere shohar ne mere baad kisi or se shadi kar li thi lekin jab mujhe pata chala, ma ne kuch nahi kaha. Phir us aurat ne khud un se talaaq le li aur phir kuch arse ke baad dobara us ke sath rehne lag gaye. Ye silsila phir 10 maah chala or unhi ihsaas hua ke wo galat kar rahe he lekin ab dobara wo us ke sath he or wo kehti he ke un ki talaaq nahi huwi jab ke wo khud kehti he ke unho ne 3 dafa talaaq di he us aurat ne khud un se talaaq li thi or ba qaida sign kiya tha. Kiya un ki talaaq ho chuki he?
Q: Meri husband aur bhai ki phone par larai huwi. Phir mere husband ne mere bhai ko kaha ke me tumhari behen ko talaaq deta hu 5 to 7 times. Kiya yeh talaaq hogai?
Q: Agar shohar biwi se ye kahe ke meri taraf say tum farig ho or us ki niyyat talaq ki na ho to kiya is se talaq ho jati hai?